
|
|
![]() |
Hathon mein aake bhi rukta nahi hai yeh paisa
Paise ke peeche zamana deewana hai kaisa … (2)
Jadoo hai yeh kya koi jaane na, Kisne yeh banaya koi jaane na
Paise se tum le lo zami, Ya aasman kharid lo
Paise se dil, paise se jaan
Sara jahan kharid lo
Paisa hi dil milata hai, Yeh paisa hi karaye dushmani
Rishte kahi banata hai Yeh rishte ko mitata hai kahi
Paisa najar badal deta
Yeh paisa sabka dildaar hai
Lekin wafa kharide na Paise se bhi uncha pyaar hai.
|
Yeh sama jawa jawa, Har taraf dhuan dhuan,
Jaoo main kahan kahan Aa bhi ja … Bahein meri tere liye Saanse meri tere liye Mera dil bujha bujha hai yahan Yeh sama jawa jawa, Har taraf dhuan dhuan, Jaoo main kahan kahan Aa bhi ja …(2) Meri zindagi tere pyaar se chale, Mujhe har khushi tere naam se mile Mita bhi de sabhi faasle he Yeh sama jawa jawa, Har taraf dhuan dhuan, Jaoo main kahan kahan Aa bhi ja … Bahein meri tere liye Saanse meri tere liye Mera dil bujha bujha hai yahan Koi door se jo pukarle mujhe, To yeh dil mera lage dhoondne tujhe Kareeb aa mujhe thaam le |
Senorita
|
Yeh na poochho mein, Kya hoon kaun hoon
[2]
Paheli hoon, mein akeli hoon In fizaon ki, mein saheli hoon Baharon se , in nazaron se Baat karti hoon mein isharon se Mein woh jawani hoon, woh kahani hoon, Jo na dhal paye Mein woh qayamat hoon, woh shararat hoon Dil jo le jaye Deewano ko mera salaam , Senorita mera naam [2] Jo pyaar karte hain, woh na marte hain, Yeh hakikat hai Jo dil se dil jode, faasle tode woh mohabbat hai Suno logon mera payam, Senorita mera naam [2] Pyaar se maine haar ko jeeta,Naam hai mera Senorita. |
Choo Lein Aasman
|
Ye zamana hai deewana, Har nazara hai suhana.
Dilwalon se dil lagana, Dekho dekho dekho jadooi hawain aai hain. Bheegi bheegi bheegi kaisi ye ghataien chhaien hain, Jaano jaano jaano kiski duaien layi hain, Pankh hum lagake ab chhoo le aasman . Mausam ka hai jo ishara, Mere dil ko hain gawara. Mujhko hai tu sabse pyaara , Aao aao aao ayemere deewane aao na. Naye naye naye pyaar ke tarane gaao na Laao jane jaana haseen ke zamane lao na, Hans lo ga lo aye deewano. Khoye khoye naujawanon, Duniya kya hai yeh pehchano Aakhon ke jharokhen jinme nazarein pyaar ke, Koi nahi roke ab hai ishare yaar ke Dena nahi dhoke dil kabhi jeet haar ke , Dil mein sajhake yaadein rangeen kar lo. Aane wala kal aur bhi haseen kar lo, Milenge dobara itna yakin kar lo Jalne do pyaar ki dil mein ab shama. |
|
Sa ni dha ma, Pa pa pa ga sa ma ma re ni (2)
Sur yeh pyaare sabko bataye milke rehna, Yahi geet ka naya sandesh hai Yahi to pyaar ki rahon ki hai manzil, Yahi to pyaar ka naya sandesh hai Yahi geet ki rahon ka hai sahil, Sa ni dha ma Pa pa pa ga sa ma ma re ni, Sabse khushi ka nata jodo Dil na kisi ka yun hi todo, Dukh me kisi ko yun na chhodo Yahi jeena hai yara, Milke rehna sare Hai jag apna, Gairon ko tum samjho jara Socho phir hai pyaar kya, Kahe ab dil ki dhadkan Chhodo ye beganapan, Isi sur ko pehchaano Sabhi ko apna mano, Sa ni dha ma.. Sur mein pyaar ki duniya dekho, Sur mein sabhi ki khushiyan dekho Sur mein dilon ke arma dekho, Yehi jeena hai yara . Sa ni dha ma... |
Mazaa
|
Ta rum pam pam geet gao, Bhool ke gam gungunao
Zindagi bhar muskurao……(2) Aa gaye main gul khilane, Banke shamma jhilmilane Chalo is waqt ka le lo mazaa….(2) Socho to zindagi kya Ha zindagi kya, yeh aaj hai kal nahi Yeh lamha pyar ka hai Kyon dhoondte ho tum pyar ko har kahi Aa gayee mein dil milane Soye arma ko jagane Chalo is waqt ka le lo mazaa Masti ka daur aaya woh daur bhi kya, jo hosh hi le na le Aakhon mein bekhudi hai , yeh bekhudi woh, jo umre bhar na dhale Aa gayee mein yeh batane, tumko nagma yeh sunane chalo is waqt ka le lo mazaa “mera yeh geet ek paigam, aapke naam ji ha aapke naam zindagi ek phool hai jo ek din murjhayega tab na jaan rahegi, na dil dhadak payega is liye aaj is waqt ka le lo mazaa.” |
|
Main teri batein yaad kar, Khoyi khoyi raat bhar |
Kaun Jane
|
Raaste hai yaha kahi anjaane, Kitne moad suhane |